50+ Allama Iqbal Poetry Collections - Urdu Shayari

Saturday, 7 September 2019

50+ Allama Iqbal Poetry Collections


50+ Allama Iqbal Poetry Collections


If you want to save Iqbal Poetry, you can “Right Click” and “Save As” Image to download latest Allama Iqbal Poetry. As we all know about Allama Iqbal, he was the great poetry writer, philosopher and politician. Allama Iqbal’s Vision is always appreciated World Wide. 

We have 50+ Allama Iqbal poetry in Urdu and it is the latest collection of Iqbal Poetry here at Urdu Shayari Status. Allama Iqbal has a great fan following in this world of era as Allama Iqbal’s vision and imagination is still working and followed by many. Allama Iqbal poetry has always deep meaning which everyone will not understand easily.

Iqbal Day is celebrated on 9th November every year so Allama Iqbal Shayaris in Urdu also searched by many, as people love to share ad express their love for Allama Iqbal.


Below is the collection of 2 line Allama Iqbal Shayari in Urdu; 


Allama Iqbal Poetry #01

Apnay mann main doob kar paa jaa suraag zindagi     

Tu agar mera nahi banta na ban apna to ban

Allama Iqbal Poetry #02


Ankh jo kuch dekhti hai lab pe aa sakta nahi
Mahu hairat hu kay duniya kya se kya hojaye gi

Allama Iqbal Poetry #03

Anookhi waza’a hai saaray zamanay se niralay hain
Ye aashiq kon si basti kay Ya Rab rehnay walay hain

Allama Iqbal Poetry #04


Baatil se dabnay walay aye asmaan nahi hu
Sau baar kar chukka hai tu imtehaan hamara

Allama Iqbal Poetry #05

But’to se tujh ko umeedain Khuda se nau meedi
Mujhe bata to sahi aur kafri kya hai


Allama Iqbal Poetry #06

Tamanna dard e dil ki ho to kar khidmat faqeero ki
Nahi milta ye gohar baadshaho kay khazeeno main 

Allama Iqbal Poetry #07

Haram Paak bhi Allah bhi Quran bhi Ek
Kuch badi baat thi hotay jo Musalmaan bhi Ek

Allama Iqbal Poetry #08

Dhoondta phirta hu mein Iqbal apnay ap ko
Ap he goya musafir ap he manzil hu mein

Allama Iqbal Poetry #09

Na samjho gey to mitt jao gey aye Hindustan walo
Tumhari dastaan tak bhi na ho gi dastano main

Allama Iqbal Poetry #10

Nahi hai na umeed Iqbal apni kasht veeran se
Zara nu mho to ye mitti bohat zarkhaiz hai saqi

Allama Iqbal Poetry #11

Jis khayt se dehaqsaa ko mayassar nahi rozi
Is khayt kay har khushay gandum ko jala do

Allama Iqbal Poetry #12

Hazaro saal nargis apni be noori pe roti hai
Badi mushkil se hota hai chaman main deedahwar paida

Allama Iqbal Poetry #13

Urooj Aadam khaki se anjum sehmay jaatay hain
K ye toots taara, mou kamil na ban jaye 

Allama Iqbal Poetry #14

Apnay mann main doob kar paa jaa suraag zindagi     

Tu agar mera nahi banta na ban apna to ban

Allama Iqbal Poetry # 15

Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
Par nahi taaqat parwaaz magar rakhti hai

Allama Iqbal Poetry #16

Sitaro se agay jahan aur bhi hain
Abhi ishq kay imtehaan aur bhi hain

Allama Iqbal Poetry #17

Na tu zameen kay liye hai na asmaan kay liye
Jahan hai teray liye tu nahi jahan kay liye

Allama Iqbal Poetry #18


Ye dastoor e zaban bandi hai kaisa teri mehfil main

Yahan to baat karnay ko tarasti hai zaban meri

Allama Iqbal Poetry #19


Aye ishaaq, gaye waada e firda le kar

Ab unhain dhoond chiraag rukh zeba le kar

Allama Iqbal Poetry #20


Tu shaheen hai, parwaaz hai kaam tera

Teray samnay asmaan aur bhi hain


Allama Iqbal Poetry #21


Tu ne ye kya gazab kiya, mujhko bhi faash kar diya

Mein he to ek raaz tha, seena e kainaat main

Allama Iqbal Poetry #22


Sikhlae farishto ko Adam ki tardap us ne

Adam ko sikhata hai Adaab Khudawandi

Allama Iqbal Poetry #23


Zahir ki aankh se na tamasha karay koi

Ho dekhna to deeda e dil waa karay koi

Allama Iqbal Poetry #24


La phir ek baar vohi baadeh o jam aye saqi

Haath aajaye mujhay mera muqaam aye saqi

Allama Iqbal Poetry #25


Maana keh teri deed kay qaabil nahi hoon mein

Tu mera shoq dekh, mera intezar dekh

Allama Iqbal Poetry #26


Nigaah faqar main shaan sikandari kya hai

Khiraaj ki jo gidaa ho, vo qaisri kya hai

Allama Iqbal Poetry #27


Na momin hai na momin ki ameeri

Raha sufi, gai roshan zameeri

Khuda se phir vohi qalb o nazar maang
Nahi mumkin ameeri be faqeeri

Allama Iqbal Poetry #28


Kabhi hum se, kabhi gayro se shanasae hai

Baat kehnay ki nahi, tu bhi to harjae hai

Allama Iqbal Poetry #29


Karain gey ehlay nazar tazaa bastiya abaad

Meri nigaah nahi sooye kofah o baghdad

Allama Iqbal Poetry #30


Kushadah dast e karam jab vo beniaz karay

Niazmand  na kyun aajzi pe naaz karay

Allama Iqbal Poetry #31

Ki Muhammad (S.A.W.) se wafa tu ne tu hum teray hain

Ye jahan chez hai kya loh o qalam teray hain

Allama Iqbal Poetry #32


Gaye din keh tanha tha mein anjuman main

Yahan ab meray razdaan aur bhi hain

Allama Iqbal Poetry #33


Ye raaz kisi ko nahi maaloom keh momin

Qaari nazar ata hai haqeeqat main hai Quran




Allama Iqbal Shayari is read and shared all around the world. Allama Iqbal is very famous poet writer and his vision is highly appreciated up till now. Allama Iqbal poetry is not easily understandable and his Urdu Shayaris needs to be translated in easy Urdu.



3 comments: